mahak uTTha yakayak regzar-e-dard-e-tanhai
mahak uTThā yakāyak regzār-e-dard-e-tanhā.ī
kise ai yād-e-jānāñ tū yahāñ tak DhūñDne aa.ī
baḌe dilchasp vā'de the baḌe rangīn dhoke the
guloñ kī aarzū meñ zindagī sho'le uThā laa.ī
batāo to añdheroñ kī fasīloñ se pare āḳhir
kahāñ tak qāfila guzrā kahāñ tak raushnī aa.ī
tumhāre baa'd jaise jāgtā hai shab kā sannāTā
dar o dīvār ko detā hai koī izn-e-goyā.ī
sunā hai sāya-e-ruḳhsār meñ kuchh der Thahrī thī
vahīñ se jagmagāte ḳhvāb le kar zindagī aa.ī
mahak uTTha yakayak regzar-e-dard-e-tanhai
kise ai yaad-e-jaanan tu yahan tak DhunDne aai
baDe dilchasp wa'de the baDe rangin dhoke the
gulon ki aarzu mein zindagi sho'le uTha lai
batao to andheron ki fasilon se pare aaKHir
kahan tak qafila guzra kahan tak raushni aai
tumhaare ba'd jaise jagta hai shab ka sannaTa
dar o diwar ko deta hai koi izn-e-goyai
suna hai saya-e-ruKHsar mein kuchh der Thahri thi
wahin se jagmagate KHwab le kar zindagi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.