main aab-e-ishq mein hal ho gai hun
maiñ āb-e-ishq meñ hal ho ga.ī huuñ
adhūrī thī mukammal ho ga.ī huuñ
palaT kar phir nahīñ aatā kabhī jo
maiñ vo guzrā huā kal ho ga.ī huuñ
bahut tāḳhīr se paayā hai ḳhud ko
maiñ apne sabr kā phal ho ga.ī huuñ
milī hai ishq kī sauġhāt jab se
udāsī terā āñchal ho ga.ī huuñ
sulajhne se ulajhtī jā rahī huuñ
maiñ apnī zulf kā bal ho ga.ī huuñ
barastī hai jo be-mausam hī aksar
usī bārish meñ jal thal ho ga.ī huuñ
mirī ḳhvāhish hai sūraj chhū ke dekhūñ
mujhe lagtā hai pāgal ho ga.ī huuñ
main aab-e-ishq mein hal ho gai hun
adhuri thi mukammal ho gai hun
palaT kar phir nahin aata kabhi jo
main wo guzra hua kal ho gai hun
bahut taKHir se paya hai KHud ko
main apne sabr ka phal ho gai hun
mili hai ishq ki saughat jab se
udasi tera aanchal ho gai hun
sulajhne se ulajhti ja rahi hun
main apni zulf ka bal ho gai hun
barasti hai jo be-mausam hi aksar
usi barish mein jal thal ho gai hun
meri KHwahish hai suraj chhu ke dekhun
mujhe lagta hai pagal ho gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.