main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main
main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
maiñ apne rū-ba-rū huuñ aur kuchh hairat-zada huuñ maiñ
na jaane aks huuñ chehra huuñ yā phir aa.ina huuñ maiñ
mirī majbūriyāñ dekho ki yakjā.ī ke paikar meñ
kisī bikhre hue ehsās meñ simTā huā huuñ maiñ
mire andar ke mausam hī mujhe tāmīr karte haiñ
kabhī sairāb hotā huuñ kabhī sahrā-numā huuñ maiñ
jo hai vo kyuuñ hai āḳhir jo nahīñ hai kyuuñ nahīñ hai vo
isī gutthī ko suljhāne hī meñ uljhā huā huuñ maiñ
ye baat ab kaise samjhā.ūñ maiñ in māsūm jharnoñ ko
guzar kar kin marāhil se samundar se milā huuñ maiñ
tabhī to 'shād' maiñ huuñ mo'tabar apnī nigāhoñ meñ
manāzir ko baḌī sanjīdgī se sochtā huuñ maiñ
main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main
na jaane aks hun chehra hun ya phir aaina hun main
meri majburiyan dekho ki yakjai ke paikar mein
kisi bikhre hue ehsas mein simTa hua hun main
mere andar ke mausam hi mujhe tamir karte hain
kabhi sairab hota hun kabhi sahra-numa hun main
jo hai wo kyun hai aaKHir jo nahin hai kyun nahin hai wo
isi gutthi ko suljhane hi mein uljha hua hun main
ye baat ab kaise samjhaun main in masum jharnon ko
guzar kar kin marahil se samundar se mila hun main
tabhi to 'shad' main hun mo'tabar apni nigahon mein
manazir ko baDi sanjidgi se sochta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.