main ek qarz hun sar se utar de mujhko
maiñ ek qarz huuñ sar se utaar de mujh ko
lagā ke daañv pe ik roz haar de mujh ko
bikhar chukā huuñ ġham-e-zindagī ke shānoñ par
ab apnī zulf kī sūrat sañvār de mujh ko
hazār chehre ubharte haiñ mujh meñ tere sivā
maiñ aa.ina huuñ to gard-o-ġhubār de mujh ko
kisī ne haath baḌhāyā hai dostī ke liye
phir ek baar ḳhudā e'tibār de mujh ko
maiñ bhuuk pyaas ke sahrā meñ ab bhī zinda huuñ
javāharāt kī kirnoñ se maar de mujh ko
main ek qarz hun sar se utar de mujh ko
laga ke danw pe ek roz haar de mujh ko
bikhar chuka hun gham-e-zindagi ke shanon par
ab apni zulf ki surat sanwar de mujh ko
hazar chehre ubharte hain mujh mein tere siwa
main aaina hun to gard-o-ghubar de mujh ko
kisi ne hath baDhaya hai dosti ke liye
phir ek bar KHuda e'tibar de mujh ko
main bhuk pyas ke sahra mein ab bhi zinda hun
jawaharaat ki kirnon se mar de mujh ko
- Book : Etemaad (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.