main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha
maiñ ham-nafasāñ jism huuñ vo jaañ kī tarah thā
maiñ dard huuñ vo dard ke unvāñ kī tarah thā
tū kaun thā kyā thā ki baras guzre pa ab bhī
mahsūs ye hotā hai rag-e-jāñ kī tarah thā
jis ke liye kāñTā sā chubhā kartā thā dil meñ
pahlū meñ vo aayā to gulistāñ kī tarah thā
ik umr ulajhtā rahā duniyā kī havā se
kyā maiñ bhī tire kākul-e-pechāñ kī tarah thā
jiinā to ġhazab hai magar ai umr ajab hai
tujh ko to ḳhabar hai vo mirī jaañ kī tarah thā
ai raat ke añdhiyāre meñ jaage hue lamho!
DhūñDo use vo ḳhvāb-e-pareshāñ kī tarah thā
miTTī ko yahāñ paañv pakaḌnā nahīñ aatā
maiñ shahr meñ bhī gard ke tūfāñ kī tarah thā
lo harf-e-ġhazal ban ke numāyāñ huā 'bāqar'
kal ramz-sifat ma.anī-e-pinhāñ kī tarah thā
main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha
main dard hun wo dard ke unwan ki tarah tha
tu kaun tha kya tha ki baras guzre pa ab bhi
mahsus ye hota hai rag-e-jaan ki tarah tha
jis ke liye kanTa sa chubha karta tha dil mein
pahlu mein wo aaya to gulistan ki tarah tha
ek umr ulajhta raha duniya ki hawa se
kya main bhi tere kakul-e-pechan ki tarah tha
jina to ghazab hai magar ai umr ajab hai
tujh ko to KHabar hai wo meri jaan ki tarah tha
ai raat ke andhiyare mein jage hue lamho!
DhunDo use wo KHwab-e-pareshan ki tarah tha
miTTi ko yahan panw pakaDna nahin aata
main shahr mein bhi gard ke tufan ki tarah tha
lo harf-e-ghazal ban ke numayan hua 'baqar'
kal ramz-sifat mani-e-pinhan ki tarah tha
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.