Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala

Zafar Imam

main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala

Zafar Imam

MORE BYZafar Imam

    maiñ dastak dene vaalā maiñ dastak sunñe vaalā

    apne ghar barbādī par maiñ sar ko dhunñe vaalā

    jīvan sañgīt achānak antim sur ko chhū letā hai

    hañstā rahtā hai phir bhī mere andar marne vaalā

    rishte bosīda dīvāroñ ke jaise Dhah jaa.eñ pal meñ

    lekin maiñ bhī dīvāroñ ke malbe se sar chunñe vaalā

    lafzoñ ke paañv ko chhū kar āshirvādī lahje meñ

    merī ġhazloñ meñ bhī ik jazba hai dil ko chhūne vaalā

    thoḌī mohlat miltī to pāpoñ se maiñ bhar letā

    jīvan ik suffa bhī thā kaise saada rahne vaalā

    maiñ apne dukh ke sāgar meñ koī patthar phekūñ kaise

    barsoñ tak nā-mumkin hai vo lauTe lahreñ ginñe vaalā

    main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala

    apne ghar ki barbaadi par main hi sar ko dhunne wala

    jiwan ka sangit achanak antim sur ko chhu leta hai

    hansta hi rahta hai phir bhi mere andar marne wala

    rishte bosida diwaron ke jaise Dhah jaen pal mein

    lekin main bhi diwaron ke malbe se sar chunne wala

    lafzon ke panw ko chhu kar aashirwadi lahje mein

    meri ghazlon mein bhi ek jazba hai dil ko chhune wala

    thoDi si mohlat milti to papon se main hi bhar leta

    jiwan ka ek suffa bhi tha kaise sada rahne wala

    main apne dukh ke sagar mein koi patthar phekun kaise

    barson tak na-mumkin hai wo lauTe lahren ginne wala

    Source :
    • Book : Ehsas Ki Hijrat (Pg. 42)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now