main hi ek shaKHs tha yaran-e-kuhan mein aisa
maiñ hī ik shaḳhs thā yārān-e-kuhan meñ aisā
kaun āvāra phirā kūcha-e-fan meñ aisā
ham bhī jab tak jiye sarsabz hī sarsabz rahe
vaqt ne zahr utārā thā badan meñ aisā
zindagī ḳhud ko na is ruup meñ pahchān sakī
aadmī lipTā hai ḳhvāboñ ke kafan meñ aisā
har ḳhizāñ meñ jo bahāroñ kī gavāhī degā
ham bhī chhoḌ aa.e haiñ ik shola chaman meñ aisā
log mujh ko mire āhañg se pahchān ga.e
kaun badnām rahā shahr-e-suḳhan meñ aisā
apne mansūroñ ko is daur ne pūchhā bhī nahīñ
paḌ gayā raḳhna saf-e-dār-o-rasan meñ aisā
hai tazādoñ bharī duniyā bhī ham-āhañg bahut
fāsla to nahīñ kuchh sañg o saman meñ aisā
vaqt kī dhuup ko māthe kā pasīna samjhā
maiñ sharābor rahā dil kī jalan meñ aisā
tum bhī dekho mujhe shāyad to na pahchān sako
ai mirī raato meñ Duubā huuñ gahan meñ aisā
main hi ek shaKHs tha yaran-e-kuhan mein aisa
kaun aawara phira kucha-e-fan mein aisa
hum bhi jab tak jiye sarsabz hi sarsabz rahe
waqt ne zahr utara tha badan mein aisa
zindagi KHud ko na is rup mein pahchan saki
aadmi lipTa hai KHwabon ke kafan mein aisa
har KHizan mein jo bahaaron ki gawahi dega
hum bhi chhoD aae hain ek shola chaman mein aisa
log mujh ko mere aahang se pahchan gae
kaun badnam raha shahr-e-suKHan mein aisa
apne mansuron ko is daur ne puchha bhi nahin
paD gaya raKHna saf-e-dar-o-rasan mein aisa
hai tazadon bhari duniya bhi ham-ahang bahut
fasla to nahin kuchh sang o saman mein aisa
waqt ki dhup ko mathe ka pasina samjha
main sharabor raha dil ki jalan mein aisa
tum bhi dekho mujhe shayad to na pahchan sako
ai meri raato mein Duba hun gahan mein aisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.