main ek pahaDi tale daba hun kise KHabar hai
maiñ ik pahāḌī tale dabā huuñ kise ḳhabar hai
baḌī aziyyat meñ mubtilā huuñ kise ḳhabar hai
kise ḳhabar hai ki merā har aks gum huā hai
maiñ ek ḳhamdār ā.īna huuñ kise ḳhabar hai
kisī ko kyā ilm hai ki maiñ kis madār meñ huuñ
maiñ ek be-ant fāsla huuñ kise ḳhabar hai
ajab shab-o-roz kā tasādum huā hai mujh meñ
maiñ ik sitāra huuñ yā havā huuñ kise ḳhabar hai
ajiib be-rañg dhund mujh meñ hai īstāda
maiñ vast-e-shab meñ kahīñ khaḌā huuñ kise ḳhabar hai
main ek pahaDi tale daba hun kise KHabar hai
baDi aziyyat mein mubtila hun kise KHabar hai
kise KHabar hai ki mera har aks gum hua hai
main ek KHamdar aaina hun kise KHabar hai
kisi ko kya ilm hai ki main kis madar mein hun
main ek be-ant fasla hun kise KHabar hai
ajab shab-o-roz ka tasadum hua hai mujh mein
main ek sitara hun ya hawa hun kise KHabar hai
ajib be-rang dhund mujh mein hai istada
main wast-e-shab mein kahin khaDa hun kise KHabar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.