main judai ka muqarrar silsila ho jaunga
maiñ judā.ī kā muqarrar silsila ho jā.ūñgā
vo bhī din aa.egā jab ḳhud se judā ho jā.ūñgā
ḳhat likho yā phone ke zarīye pata lete raho
varna maiñ thoḌe dinoñ meñ lāpata ho jā.ūñgā
jā.ūñgā maiñ aa.ine ke is taraf se us taraf
aur phir maiñ maiñ na rah kar dūsrā ho jā.ūñgā
umr to baḌhtī rahī aur maiñ sikuḌtā hī rahā
maiñ samajhtā thā ki ik din maiñ baḌā ho jā.ūñgā
jab bhī dohrā.ūñgā apnī zindagī kī dāstāñ
zindagī par apnī shāyad phir fidā ho jā.ūñgā
main judai ka muqarrar silsila ho jaunga
wo bhi din aaega jab KHud se juda ho jaunga
KHat likho ya phone ke zariye pata lete raho
warna main thoDe dinon mein lapata ho jaunga
jaunga main aaine ke is taraf se us taraf
aur phir main main na rah kar dusra ho jaunga
umr to baDhti rahi aur main sikuDta hi raha
main samajhta tha ki ek din main baDa ho jaunga
jab bhi dohraunga apni zindagi ki dastan
zindagi par apni shayad phir fida ho jaunga
- Book : Namak (Pg. 86)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.