main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun
maiñ ki ab terī hī dīvār kā ik saayā huuñ
kitne be-ḳhvāb darīchoñ se guzar aayā huuñ
mujh ko ehsās hai hālāt kī majbūrī kā
bevafā kah ke tujhe aap bhī sharmāyā huuñ
mujh ko mat dekh mire zauq-e-samā.at ko to dekh
ki tire jism kī har taan pe lahrāyā huuñ
ai mo.arriḳh mirī ujḌī huī sūrat pe na jā
shahr-e-vīrāñ huuñ magar vaqt kā sarmāya huuñ
raushnī phail ga.ī hai mirī ḳhushbū kī tarah
maiñ bhī jalte hue sahrāoñ kā ham-sāyā huuñ
ham-safar laakh mirī raah kā patthar bhī bane
phir bhī zehnoñ ke dar-o-bām pe lahrāyā huuñ
na.ī manzil kā junūñ tohmat-e-gumrāhī hai
pā-shikasta bhī tirī raah meñ kahlāyā huuñ
phir numū paa.ī hai ik dard-e-ḳhush-āġhāz ke saath
dahr meñ jur.at-e-iz.hār kā pairāya huuñ
umr bhar but-shikanī kartā rahā aaj magar
apnī hī zaat ke kohsār se Takrāyā huuñ
dahr meñ azmat-e-ādam kā nishāñ huuñ 'fāriġh'
kabhī kohsār kabhī daar pe lahrāyā huuñ
main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun
kitne be-KHwab darichon se guzar aaya hun
mujh ko ehsas hai haalat ki majburi ka
bewafa kah ke tujhe aap bhi sharmaya hun
mujh ko mat dekh mere zauq-e-samaat ko to dekh
ki tere jism ki har tan pe lahraya hun
ai moarriKH meri ujDi hui surat pe na ja
shahr-e-viran hun magar waqt ka sarmaya hun
raushni phail gai hai meri KHushbu ki tarah
main bhi jalte hue sahraon ka ham-saya hun
ham-safar lakh meri rah ka patthar bhi bane
phir bhi zehnon ke dar-o-baam pe lahraya hun
nai manzil ka junun tohmat-e-gumrahi hai
pa-shikasta bhi teri rah mein kahlaya hun
phir numu pai hai ek dard-e-KHush-aghaz ke sath
dahr mein jurat-e-izhaar ka pairaya hun
umr bhar but-shikani karta raha aaj magar
apni hi zat ke kohsar se Takraya hun
dahr mein azmat-e-adam ka nishan hun 'farigh'
kabhi kohsar kabhi dar pe lahraya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.