main mutmain na tha kirdar se kahani mein
maiñ mutma.in na thā kirdār se kahānī meñ
so apnī umr guzarne dī rā.egānī meñ
bilād-e-hāl sajāyā hai kū-e-rafta meñ
maiñ apne pesh-ravoñ kī huuñ tarjumānī meñ
ye kyā ki baiThā hai dariyā kinār-e-dariyā par
maiñ aaj bahtā huā jā rahā huuñ paanī meñ
haañ āḳhirash abad-e-ishtirāk-e-ḳhāk milā
go ham rahe safar-e-āsmān-e-fānī meñ
ye sher-e-zar suḳhan-e-be-asar kī marqad hai
so kaise soz ujāgar ho naġhma-ḳhvānī meñ
main mutmain na tha kirdar se kahani mein
so apni umr guzarne di raegani mein
bilad-e-haal sajaya hai ku-e-rafta mein
main apne pesh-rawon ki hun tarjumani mein
ye kya ki baiTha hai dariya kinar-e-dariya par
main aaj bahta hua ja raha hun pani mein
han aaKHirash abad-e-ishtirak-e-KHak mila
go hum rahe safar-e-asman-e-fani mein
ye sher-e-zar suKHan-e-be-asar ki marqad hai
so kaise soz ujagar ho naghma-KHwani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.