maine dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai
maiñ ne dil-e-be-tāb pe jo jabr kiyā hai
ḳhuuñ ho ke merī āñkhoñ se ab chhūT bahā hai
jis ko kisī aazar ne hai patthar se tarāshā
ab shūmī-e-taqdīr se vo merā ḳhudā hai
us ke sitam-o-jaur kā ehsās kise ho
us shoḳh kī sūrat hī baḌī hosh-rubā hai
mujh bekas-o-āvāra kī phir aa ga.ī shāmat
suntā huuñ ki bastī meñ kahīñ qatl huā hai
tum un ko sazā kyuuñ nahīñ dete ki jinhoñ ne
mujrim kā zamīr aur sukūñ luuT liyā hai
ab da.avā-e-insāf kī auqāt khulegī
ḳhud shaiḳh mire shahr kā muḳhtār banā hai
main ne dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai
KHun ho ke meri aankhon se ab chhuT baha hai
jis ko kisi aazar ne hai patthar se tarasha
ab shumi-e-taqdir se wo mera KHuda hai
us ke sitam-o-jaur ka ehsas kise ho
us shoKH ki surat hi baDi hosh-ruba hai
mujh bekas-o-awara ki phir aa gai shamat
sunta hun ki basti mein kahin qatl hua hai
tum un ko saza kyun nahin dete ki jinhon ne
mujrim ka zamir aur sukun luT liya hai
ab dawa-e-insaf ki auqat khulegi
KHud shaiKH mere shahr ka muKHtar bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.