maine socha hai raat-bhar tumko
maiñ ne sochā hai rāt-bhar tum ko
kaash ho jaa.e ye ḳhabar tum ko
zindagī meñ kabhī kisī ko bhī
maiñ ne chāhā nahīñ magar tum ko
jāntī huuñ ki tum nahīñ maujūd
DhūñDhtī hai magar nazar tum ko
tum bhī afsos rāh-rau nikle
maiñ to samjhī thī ham-safar tum ko
mujh meñ ab maiñ nahīñ rahī baaqī
maiñ ne chāhā hai is qadar tum ko
main ne socha hai raat-bhar tum ko
kash ho jae ye KHabar tum ko
zindagi mein kabhi kisi ko bhi
main ne chaha nahin magar tum ko
jaanti hun ki tum nahin maujud
DhunDhti hai magar nazar tum ko
tum bhi afsos rah-rau nikle
main to samjhi thi ham-safar tum ko
mujh mein ab main nahin rahi baqi
main ne chaha hai is qadar tum ko
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 80)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.