maine yun in sard labon ko rakkha un ruKHsaron par
maiñ ne yuuñ in sard laboñ ko rakkhā un ruḳhsāroñ par
jaise koī bhuul se rakh de phūloñ ko angāroñ par
chhup gayā eid kā chāñd nikal kar der huī par jaane kyoñ
nazreñ ab tak Tikī huī haiñ masjid ke mīnāroñ par
aatī jaatī sāñsoñ par vo dil ke taḌapne kā aalam
jaise koī naach rahā ho do-dhārī talvāroñ par
barsoñ baad jo ghar meñ lauTā dekh ke āñkheñ bhar aa.iiñ
ab tak un kā naam likhā thā ghar kī sab dīvāroñ par
mausam-e-gul phir aaya shāyad phir ik vahshat jaag uThī
vo dekho sabza ug aaya zindāñ kī dīvāroñ par
pairoñ meñ bāñdhe baiThe haiñ ham ḳhud hī zanjīr-e-ma.āsh
aur yāroñ ne jast lagā dī dekho chāñd sitāroñ par
main ne yun in sard labon ko rakkha un ruKHsaron par
jaise koi bhul se rakh de phulon ko angaron par
chhup gaya eid ka chand nikal kar der hui par jaane kyon
nazren ab tak Tiki hui hain masjid ke minaron par
aati jati sanson par wo dil ke taDapne ka aalam
jaise koi nach raha ho do-dhaari talwaron par
barson baad jo ghar mein lauTa dekh ke aankhen bhar aain
ab tak un ka nam likha tha ghar ki sab diwaron par
mausam-e-gul phir aaya shayad phir ek wahshat jag uThi
wo dekho sabza ug aaya zindan ki diwaron par
pairon mein bandhe baiThe hain hum KHud hi zanjir-e-maash
aur yaron ne jast laga di dekho chand sitaron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.