main raat sust anasir se tang aa gaya tha
maiñ raat sust anāsir se tañg aa gayā thā
mirī hayāt-e-fasurda meñ rañg aa gayā thā
nagāḌe piiTe havāoñ ne surḳh pahroñ tak
gadhoñ kā jhunD kabūtar ke sañg aa gayā thā
sitār bajne lage sub.h kī masahrī par
dhanak kā qāfila-e-haft-rañg aa gayā thā
falak pe reñgte sūraj zamīn-bos hue
vo shahsavār-e-shafaq bahr-e-jañg aa gayā thā
añdhere ġhaar meñ ye kilkilātī khopḌiyāñ
inhī ke dekhe ra.ūnat pe zañg aa gayā thā
mire jahān-e-balā saut-o-harf ke dvāre
na jaane kaun liye jal-tarañg aa gayā thā
main raat sust anasir se tang aa gaya tha
meri hayat-e-fasurda mein rang aa gaya tha
nagaDe piTe hawaon ne surKH pahron tak
gadhon ka jhunD kabutar ke sang aa gaya tha
sitar bajne lage subh ki masahri par
dhanak ka qafila-e-haft-rang aa gaya tha
falak pe rengte suraj zamin-bos hue
wo shahsawar-e-shafaq bahr-e-jang aa gaya tha
andhere ghaar mein ye kilkilati khopDiyan
inhi ke dekhe raunat pe zang aa gaya tha
mere jahan-e-bala saut-o-harf ke dware
na jaane kaun liye jal-tarang aa gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.