main soz-e-darun apna dikha bhi nahin sakta
maiñ soz-e-darūñ apnā dikhā bhī nahīñ saktā
kyā mujh pe guzartī hai batā bhī nahīñ saktā
raushan hai isī se mirā kāshāna-e-hastī
is sham-e-mohabbat ko bujhā bhī nahīñ saktā
hai bār-e-samā.at use iz.hār-e-tamannā
ye hāl-e-zabūñ us ko sunā bhī nahīñ saktā
zinda hai zamīr apnā abhī, sāmne us ke
apnā sar-e-taslīm jhukā bhī nahīñ saktā
had hotī hai ik naaz uThāne kī kisī ke
ye bār-e-garāñ ab maiñ uThā bhī nahīñ saktā
is haal meñ kab tak yūñhī ghuT ghuT ke jiyūñgā
rūThā hai vo aise ki manā bhī nahīñ saktā
thā ġhair jise apnā samajhtā thā bahī-ḳhvāh
ab mahfil-e-yārāñ vo sajā bhī nahīñ saktā
nāfiz hai zabāñ-bandī kā dastūr abhī tak
kyā dil pe guzartī hai batā bhī nahīñ saktā
har vaqt tasavvur meñ hai jo azmat-e-rafta
khoyā huā e.azāz vo pā bhī nahīñ saktā
ḳhvāboñ meñ hasīñ tāj-mahal kartā hai ta.amīr
apne liye ik ghar jo banā bhī nahīñ saktā
kyuuñ niiñd uḌātā hai vo 'barqī' kī ab us se
vo vāda-e-fardā jo nibhā bhī nahīñ saktā
main soz-e-darun apna dikha bhi nahin sakta
kya mujh pe guzarti hai bata bhi nahin sakta
raushan hai isi se mera kashana-e-hasti
is sham-e-mohabbat ko bujha bhi nahin sakta
hai bar-e-samaat use izhaar-e-tamanna
ye haal-e-zabun us ko suna bhi nahin sakta
zinda hai zamir apna abhi, samne us ke
apna sar-e-taslim jhuka bhi nahin sakta
had hoti hai ek naz uThane ki kisi ke
ye bar-e-garan ab main uTha bhi nahin sakta
is haal mein kab tak yunhi ghuT ghuT ke jiyunga
ruTha hai wo aise ki mana bhi nahin sakta
tha ghair jise apna samajhta tha bahi-KHwah
ab mahfil-e-yaran wo saja bhi nahin sakta
nafiz hai zaban-bandi ka dastur abhi tak
kya dil pe guzarti hai bata bhi nahin sakta
har waqt tasawwur mein hai jo azmat-e-rafta
khoya hua eazaz wo pa bhi nahin sakta
KHwabon mein hasin taj-mahal karta hai tamir
apne liye ek ghar jo bana bhi nahin sakta
kyun nind uData hai wo 'barqi' ki ab us se
wo wada-e-farda jo nibha bhi nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.