main wahan hun ki nahin chahe to ja kar dekhe
maiñ vahāñ huuñ ki nahīñ chāhe to jā kar dekhe
kūza-gar ḳhud mirī miTTī meñ samā kar dekhe
baad meñ rakhe sarāboñ ke dayāroñ meñ qadam
pahle vo saañs kī sarhad pe to aa kar dekhe
mire iz.hār ko kuchh aur samar-var kar de
vo mujhe lams kī shāḳhoñ pe ugā kar dekhe
guuñj uTThe koī khoī huī duniyā shāyad
mire ḳhaliyoñ meñ vo āvāz lagā kar dekhe
dekheñ phir raqs meñ aate haiñ bhañvar kitne 'riyāz'
koī paanī pe mirā naam bahā kar dekhe
main wahan hun ki nahin chahe to ja kar dekhe
kuza-gar KHud meri miTTi mein sama kar dekhe
baad mein rakhe sarabon ke dayaron mein qadam
pahle wo sans ki sarhad pe to aa kar dekhe
mere izhaar ko kuchh aur samar-war kar de
wo mujhe lams ki shaKHon pe uga kar dekhe
gunj uTThe koi khoi hui duniya shayad
mere KHaliyon mein wo aawaz laga kar dekhe
dekhen phir raqs mein aate hain bhanwar kitne 'riyaz'
koi pani pe mera nam baha kar dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.