Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main wahshat-o-junun mein tamasha nahin bana

Ahmad Khayal

main wahshat-o-junun mein tamasha nahin bana

Ahmad Khayal

MORE BYAhmad Khayal

    maiƱ vahshat-o-junÅ«Ć± meƱ tamāshā nahīƱ banā

    sahrā mire vajÅ«d kā hissa nahīƱ banā

    is baar kūza-gar kī tavajjoh thī aur samt

    varna hamārÄ« įø³haak se kyā kyā nahīƱ banā

    soÄ« huÄ« anā mire aaįøŒe rahÄ« sadā

    koshish ke bāvajÅ«d bhÄ« kaasa nahīƱ banā

    ye bhī tirī shikast nahīƱ hai to aur kyā

    jaisā tÅ« chāhtā thā maiƱ vaisā nahīƱ banā

    varna ham aise log kahāƱ Thahrte yahāƱ

    ham se falak kī samt kā ziina nahīƱ banā

    jitne kamāl-raƱg the saare liye ga.e

    phir bhī tire jamāl kā naqsha nahīƱ banā

    rokā gayā hai vaqt se pahle hī merā chaak

    mujh ko ye lag rahā hai maiƱ puurā nahīƱ banā

    main wahshat-o-junun mein tamasha nahin bana

    sahra mere wajud ka hissa nahin bana

    is bar kuza-gar ki tawajjoh thi aur samt

    warna hamari KHak se kya kya nahin bana

    soi hui ana mere aaDe rahi sada

    koshish ke bawajud bhi kasa nahin bana

    ye bhi teri shikast nahin hai to aur kya

    jaisa tu chahta tha main waisa nahin bana

    warna hum aise log kahan Thahrte yahan

    hum se falak ki samt ka zina nahin bana

    jitne kamal-rang the sare liye gae

    phir bhi tere jamal ka naqsha nahin bana

    roka gaya hai waqt se pahle hi mera chaak

    mujh ko ye lag raha hai main pura nahin bana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now