majburi lachaari likh
majbūrī lāchārī likh
haañ rūdād hamārī likh
ġhairoñ ko ilzām na de
apnoñ kī ayyārī likh
soch jo halkī hai to kyā
ġhazleñ bhārī bhārī likh
aib na ginvā auroñ ke
apnī ''kār-guzārī'' likh
pahle jhūTe va.ade kar
phir apnī lāchārī likh
chāhe haqīqat kuchh bhī ho
apnā palḌā bhārī likh
ujḌe ghar ke āñgan meñ
harī-bharī phulvārī likh
har mansab har ohde par
apnī da.ave-dārī likh
māt-pitā ko de ban-vās
ḳhud ko āgyā-kārī likh
'chāñd' kī ḳhaslat meñ yārab
kuchh to duniyā-dārī likh
majburi lachaari likh
han rudad hamari likh
ghairon ko ilzam na de
apnon ki ayyari likh
soch jo halki hai to kya
ghazlen bhaari bhaari likh
aib na ginwa auron ke
apni kar-guzari likh
pahle jhuTe wade kar
phir apni lachaari likh
chahe haqiqat kuchh bhi ho
apna palDa bhaari likh
ujDe ghar ke aangan mein
hari-bhari phulwari likh
har mansab har ohde par
apni dawe-dari likh
mat-pita ko de ban-was
KHud ko aagya-kari likh
'chand' ki KHaslat mein yarab
kuchh to duniya-dari likh
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 565)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.