makan andar se KHasta ho gaya hai
makāñ andar se ḳhasta ho gayā hai
aur is meñ ek rasta ho gayā hai
unheñ manzūr karnā hī paḌegā
arīzā dast-basta ho gayā hai
siyāsī rahnumāoñ kī badaulat
hamārā ḳhuun sastā ho gayā hai
kamān-e-jism hai maujūd lekin
shabāb ik tīr-e-jasta ho gayā hai
zubūñ hai is qadar duniyā kī hālat
hamārā ġham bhī ḳhasta ho gayā hai
shikasta aur paspā 'kirshn' mohan
hamārā faujī dasta ho gayā hai
makan andar se KHasta ho gaya hai
aur is mein ek rasta ho gaya hai
unhen manzur karna hi paDega
ariza dast-basta ho gaya hai
siyasi rahnumaon ki badaulat
hamara KHun sasta ho gaya hai
kaman-e-jism hai maujud lekin
shabab ek tir-e-jasta ho gaya hai
zubun hai is qadar duniya ki haalat
hamara gham bhi KHasta ho gaya hai
shikasta aur paspa 'kirshn' mohan
hamara fauji dasta ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.