Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan-e-KHwab mein jangal ki bas rahne lagi

Afzaal Naveed

makan-e-KHwab mein jangal ki bas rahne lagi

Afzaal Naveed

MORE BYAfzaal Naveed

    makān-e-ḳhvāb meñ jangal baas rahne lagī

    koī na aayā to zīnoñ pe ghaas rahne lagī

    tire vajūd jab se libās rahne lagī

    liye diye hue mujh se kapās rahne lagī

    ye aur baat anokhī pyaas rahne lagī

    mirī zabān pe us miThās rahne lagī

    jhalak thī koī ḳhushbū-e-ḳhadd-o-ḳhāl thī vo

    chalī ga.ī to mire aas paas rahne lagī

    gayā hujūm liye bāz-dīd naqsh-e-qadam

    havā-e-rāhguzar bad-havās rahne lagī

    zarā.e jo the mayassar hue ġhubār-e-shanāḳht

    darūñ se chashm-e-darūñ nā-shanās rahne lagī

    abhī ġhubār na utrā thā saañs andar

    utarne pas-e-zindāñ bhaḌās rahne lagī

    utaar pheñk diyā jo thā jism-e-bosīda

    sitāroñ koī utran libās rahne lagī

    ziyāda zor lagāne se kuchh na ho saktā

    so aa.e roz halchal raas rahne lagī

    lahad ne dāman-e-yaḳh-basta khol kar rakkhā

    badan meñ garmī-e-ḳhauf-o-hirās rahne lagī

    na jaane andhe kuoñ vo tishnagī thī kyā

    har ek aañkh meñ jo be-libās rahne lagī

    bigāḌ jis se ho paidā koī bigāḌ nahīñ

    so mo.ajize mire dil ko aas rahne lagī

    muġhā.irat se bharī tīrgī ke biich 'naved'

    ik andarūnī ramaq rū-shanās rahne lagī

    makan-e-KHwab mein jangal ki bas rahne lagi

    koi na aaya to zinon pe ghas rahne lagi

    tere wajud ka jab se libas rahne lagi

    liye diye hue mujh se kapas rahne lagi

    ye aur baat anokhi si pyas rahne lagi

    meri zaban pe us ki miThas rahne lagi

    jhalak thi ya koi KHushbu-e-KHadd-o-KHal thi wo

    chali gai to mere aas pas rahne lagi

    gaya hujum liye baz-did naqsh-e-qadam

    hawa-e-rahguzar bad-hawas rahne lagi

    zarae jo the mayassar hue ghubar-e-shanaKHt

    darun se chashm-e-darun na-shanas rahne lagi

    abhi ghubar na utra tha sans ka andar

    utarne ki pas-e-zindan bhaDas rahne lagi

    utar phenk diya jo tha jism-e-bosida

    sitaron ki koi utran libas rahne lagi

    ziyaada zor lagane se kuchh na ho sakta

    so aae roz ki halchal hi ras rahne lagi

    lahad ne daman-e-yaKH-basta khol kar rakkha

    badan mein garmi-e-KHauf-o-hiras rahne lagi

    na jaane andhe kuon ki wo tishnagi thi kya

    har ek aankh mein jo be-libas rahne lagi

    bigaD jis se ho paida koi bigaD nahin

    so moajize ki mere dil ko aas rahne lagi

    mughairat se bhari tirgi ke bich 'nawed'

    ek andaruni ramaq ru-shanas rahne lagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now