makr-e-hayat ruKH ki qaba bhi utar di
makr-e-hayāt ruḳh kī qabā bhī utaar dī
ham ne taḌap taḌap ke ye shab bhī guzār dī
ab ham pe ḳhaak dekhiye kis dasht kī paḌe
yaañ to azān-e-sub.h sar-e-auj-e-dār dī
ab tum karo surāġh-e-jamāl-e-butāñ talāsh
ham ne tumheñ amānat-e-chashm-o-azār dī
dekhī haiñ yuuñ bhī chāragaroñ kī karāmateñ
zaḳhm-e-lahū-lahū ko davā ḳhaar ḳhaar dī
yuuñ bhī kiyā hai ham ne haq-e-dilbarī adā
apnī hī jiit apne hī hāthoñ se haar dī
'sālim' ḳhushā hai us ko bahut tujh pe e'timād
jis ne tujhe aziyyat-e-dil be-shumār dī
makr-e-hayat ruKH ki qaba bhi utar di
hum ne taDap taDap ke ye shab bhi guzar di
ab hum pe KHak dekhiye kis dasht ki paDe
yan to azan-e-subh sar-e-auj-e-dar di
ab tum karo suragh-e-jamal-e-butan talash
hum ne tumhein amanat-e-chashm-o-azar di
dekhi hain yun bhi chaaragaron ki karamaten
zaKHm-e-lahu-lahu ko dawa KHar KHar di
yun bhi kiya hai hum ne haq-e-dilbari ada
apni hi jit apne hi hathon se haar di
'salim' KHusha hai us ko bahut tujh pe e'timad
jis ne tujhe aziyyat-e-dil be-shumar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.