Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye

Bushra Ejaz

manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye

Bushra Ejaz

manzaroñ ke darmiyāñ manzar banānā chāhiye

rahnavard-e-shauq ko rasta dikhānā chāhiye

apne saare rāste andar jānib moḌ kar

manziloñ ik nishāñ bāhar banānā chāhiye

sochnā ye hai ki us justujū hone talak

saath apne ḳhud raheñ ham zamānā chāhiye

terī merī dāstāñ itnī zarūrī to nahīñ

duniyā ko kahne ḳhātir bas fasānā chāhiye

phuul pattī pe likkhūñ nazm jaisī ik duā

haath uThāne ke liye mujh ko bahānā chāhiye

vasl koī nishānī hijr ke bāham rahe

ab ke saada haath par mehñdī lagānā chāhiye

phuul ḳhushbū rañg jugnū raushnī ke vāste

ghar dīvāroñ meñ ik rauzan banānā chāhiye

shaam ko vāpas palaTte tā.eroñ ko dekh kar

sochtī huuñ lauT kar ab ghar bhī jaanā chāhiye

manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye

rahnaward-e-shauq ko rasta dikhana chahiye

apne sare raste andar ki jaanib moD kar

manzilon ka ek nishan bahar banana chahiye

sochna ye hai ki us ki justuju hone talak

sath apne KHud rahen hum ya zamana chahiye

teri meri dastan itni zaruri to nahin

duniya ko kahne ki KHatir bas fasana chahiye

phul ki patti pe likkhun nazm jaisi ek dua

hath uThane ke liye mujh ko bahana chahiye

wasl ki koi nishani hijr ke baham rahe

ab ke sada hath par mehndi lagana chahiye

phul KHushbu rang jugnu raushni ke waste

ghar ki diwaron mein ek rauzan banana chahiye

sham ko wapas palaTte taeron ko dekh kar

sochti hun lauT kar ab ghar bhi jaana chahiye

Source :
  • Book : Tasteer (Pg. 297)
  • Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now