manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi
manzaroñ kī bhiiḌ aisī to kabhī dekhī na thī
gaañv achchhā thā magar us meñ koī laḌkī na thī
ruuh ke andar ḳhalā hai ye mujhe ma.alūm thā
khokhlā hai jism bhī is kī ḳhabar pahuñchī na thī
haath thāmā hai sadā ke vāste vaise magar
saath us kā chhoḌne meñ kuchh burā.ī bhī na thī
un dinoñ bhī dard kā saaya mire ham-rāh thā
jab dhuāñ ban kar vo mere zehn par chhā.ī na thī
jazb ho jaane kā qissa ḳhud se bhī mansūb kar
bhuul merī thī agar tū bhī koī devī na thī
rañg pakkā ho chalā thā yaad aatā hai magar
dhuup mere jism par tab Thiik se bhīgī na thī
ḳhvāhishoñ kā vo jazīra bhī to āḳhir bah gayā
ḳhauf-o-ḳhatra kī jahāñ par koī ābādī na thī
manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi
ganw achchha tha magar us mein koi laDki na thi
ruh ke andar KHala hai ye mujhe malum tha
khokhla hai jism bhi is ki KHabar pahunchi na thi
hath thama hai sada ke waste waise magar
sath us ka chhoDne mein kuchh burai bhi na thi
un dinon bhi dard ka saya mere ham-rah tha
jab dhuan ban kar wo mere zehn par chhai na thi
jazb ho jaane ka qissa KHud se bhi mansub kar
bhul meri thi agar tu bhi koi dewi na thi
rang pakka ho chala tha yaad aata hai magar
dhup mere jism par tab Thik se bhigi na thi
KHwahishon ka wo jazira bhi to aaKHir bah gaya
KHauf-o-KHatra ki jahan par koi aabaadi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.