manzil na de charagh na de hausla to de
manzil na de charāġh na de hausla to de
tinke kā hī sahī tū magar aasrā to de
maiñ ne ye kab kahā ki mire haq meñ ho javāb
lekin ḳhāmosh kyoñ hai koī faisla to de
barsoñ maiñ tere naam pe khātā rahā fareb
mere ḳhudā kahāñ hai tū apnā patā to de
be-shak mire nasīb pe rakh apnā iḳhtiyār
lekin mire nasīb meñ kyā hai batā to de
maiñ ḳhud hī kho gayā tujhe paane kī fikr meñ
ab ai ġham-e-hayāt koī rāsta to de
manzil na de charagh na de hausla to de
tinke ka hi sahi tu magar aasra to de
main ne ye kab kaha ki mere haq mein ho jawab
lekin KHamosh kyon hai koi faisla to de
barson main tere nam pe khata raha fareb
mere KHuda kahan hai tu apna pata to de
be-shak mere nasib pe rakh apna iKHtiyar
lekin mere nasib mein kya hai bata to de
main KHud hi kho gaya tujhe pane ki fikr mein
ab ai gham-e-hayat koi rasta to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.