manzilon ke nishan nahin milte
manziloñ ke nishāñ nahīñ milte
tum agar nā-gahāñ nahīñ milte
āshiyāne kā rañj kaun kare
chaar tinke kahāñ nahīñ milte
dāstāneñ hazār miltī haiñ
sāhib-e-dāstāñ nahīñ milte
yuuñ na milne ke sau bahāne haiñ
milne vaale kahāñ nahīñ milte
inqilāb-e-jahāñ are tauba
ham jahāñ the vahāñ nahīñ milte
dostoñ kī kamī nahīñ hamdam
aise dushman kahāñ nahīñ milte
jin ko manzil salām kartī thī
aaj vo kārvāñ nahīñ milte
shāḳh-e-gul par jo jhūmte the 'qamar'
aaj vo āshiyāñ nahīñ milte
manzilon ke nishan nahin milte
tum agar na-gahan nahin milte
aashiyane ka ranj kaun kare
chaar tinke kahan nahin milte
dastanen hazar milti hain
sahib-e-dastan nahin milte
yun na milne ke sau bahane hain
milne wale kahan nahin milte
inqilab-e-jahan are tauba
hum jahan the wahan nahin milte
doston ki kami nahin hamdam
aise dushman kahan nahin milte
jin ko manzil salam karti thi
aaj wo karwan nahin milte
shaKH-e-gul par jo jhumte the 'qamar'
aaj wo aashiyan nahin milte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.