maslahat ke zawiyon se kis qadar anjaan hai
maslahat ke zāviyoñ se kis qadar anjān hai
ā.inoñ ke biich meñ patthar bahut hairān hai
koī kyuuñ bantā sar-e-mahfil tamāshā sāhibo
sar uThā kar bolnā to bas merī pahchān hai
hāmiyoñ kī bhiiḌ par is raaz ko ifshā karo
qāfile ke muntashir hone kā bhī imkān hai
merā ronā giḌgiḌānā rā.egāñ sab rā.egāñ
aap kā ik muskurānā dā.imī farmān hai
reḳhta kā ik nayā majzūb hai 'shahpar' rasūl
shohrat us ke naam par ik nañg hai bohtān hai
maslahat ke zawiyon se kis qadar anjaan hai
aainon ke bich mein patthar bahut hairan hai
koi kyun banta sar-e-mahfil tamasha sahibo
sar uTha kar bolna to bas meri pahchan hai
hamiyon ki bhiD par is raaz ko ifsha karo
qafile ke muntashir hone ka bhi imkan hai
mera rona giDgiDana raegan sab raegan
aap ka ek muskurana daimi farman hai
reKHta ka ek naya majzub hai 'shahpar' rasul
shohrat us ke nam par ek nang hai bohtan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.