masruf hum bhi anjuman-araiyon mein the
masrūf ham bhī anjuman-ārā.iyoñ meñ the
ghar jal rahā thā log tamāshā.iyoñ meñ the
kitnī jarāhateñ pas-e-ehsās-e-dard thiiñ
kitne hī zaḳhm ruuh kī gahrā.iyoñ meñ the
kuchh ḳhvāb the jo ek se manzar kā aks the!
kuchh shobade bhī us kī masīhā.iyoñ meñ the
taptī zamīñ pe uḌte bagūloñ kā raqs thā
saat āsmān qahr kī purvā.iyoñ meñ the
is tarah ḳhair o shar meñ kabhī ran paḌā na thā
kitne hī hādse mirī paspā.iyoñ meñ the
ḳhilqat pe sādgī kā maiñ ilzām kyā dharūñ
jitne shigāf the mirī dānā.iyoñ meñ the
āshob-e-zāt se nikal aayā thā ik jahāñ
ham qaid apnī qāfiya-paimā.iyoñ meñ the
masruf hum bhi anjuman-araiyon mein the
ghar jal raha tha log tamashaiyon mein the
kitni jarahaten pas-e-ehsas-e-dard thin
kitne hi zaKHm ruh ki gahraiyon mein the
kuchh KHwab the jo ek se manzar ka aks the!
kuchh shobade bhi us ki masihaiyon mein the
tapti zamin pe uDte bagulon ka raqs tha
sat aasman qahr ki purwaiyon mein the
is tarah KHair o shar mein kabhi ran paDa na tha
kitne hi hadse meri paspaiyon mein the
KHilqat pe sadgi ka main ilzam kya dharun
jitne shigaf the meri danaiyon mein the
aashob-e-zat se nikal aaya tha ek jahan
hum qaid apni qafiya-paimaiyon mein the
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 122)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.