mauj-e-dariya ke labon par tishnagi hai karbala
mauj-e-dariyā ke laboñ par tishnagī hai karbalā
reg-e-sāhil par taḌaptī zindagī hai karbalā
sabr kī aur zabt kī ye manzileñ haiñ āḳhirī
azm ahl-e-bait kā kyā dekhtī hai karbalā
haq kabhī jhuktā nahīñ hai sar bhī kaT jaa.e agar
zehn-o-dil ke vāste ik āgahī hai karbalā
kyuuñ sakīna aur zainab is qadar ḳhāmosh haiñ
duur tak sahrā meñ dekho ḳhāmushī hai karbalā
miT gayā hai farq sab fardā meñ aur dīroz meñ
maat de kar raḳhsh-e-daurāñ ko chalī hai karbalā
tā-qayāmat zikr se raushan rahegī ye zamīñ
zulmatoñ kī shaam meñ ik raushnī hai karbalā
ai ġham-e-shām-e-ġharībāñ ai shab-e-tār-e-alam
ahl-e-dil ko roz-o-shab taḌpā rahī hai karbalā
mauj-e-dariya ke labon par tishnagi hai karbala
reg-e-sahil par taDapti zindagi hai karbala
sabr ki aur zabt ki ye manzilen hain aaKHiri
azm ahl-e-bait ka kya dekhti hai karbala
haq kabhi jhukta nahin hai sar bhi kaT jae agar
zehn-o-dil ke waste ek aagahi hai karbala
kyun sakina aur zainab is qadar KHamosh hain
dur tak sahra mein dekho KHamushi hai karbala
miT gaya hai farq sab farda mein aur diroz mein
mat de kar raKHsh-e-dauran ko chali hai karbala
ta-qayamat zikr se raushan rahegi ye zamin
zulmaton ki sham mein ek raushni hai karbala
ai gham-e-sham-e-ghariban ai shab-e-tar-e-alam
ahl-e-dil ko roz-o-shab taDpa rahi hai karbala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.