Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna

Sardar Saleem

mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna

Sardar Saleem

MORE BYSardar Saleem

    mauja-e-reg-e-ravān-e-ġham meñ bah ke dekhnā

    muflisī meñ dostoñ ke saath rah ke dekhnā

    dāman-e-iz.hār meñ jazbe samā sakte haiñ nahīñ

    baat phir bhī baat hai ik baar kah ke dekhnā

    ḳhud ko miTTī gharauñdā farz karnā nahīñ

    āñdhiyoñ zad meñ rahnā aur Dhah ke dekhnā

    dil ke sannāTe meñ ḳhushbū ke darīche khul ga.e

    dastakoñ ke phuul darvāze pe mahke dekhnā

    kāsa-e-fitrat meñ phir ḳhvāhish ke sikke baj uThe

    phir parinde saañs Daalī pe chahke dekhnā

    be-asar kyuuñ na ho par apnī zaatī soch ho

    dosto taḳhlīq-e-fan karb sah ke dekhnā

    bādshāhat ke maze haiñ ḳhāksārī meñ 'salīm'

    ye nazāra yaar ke kūche meñ rah ke dekhnā

    mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna

    muflisi mein doston ke sath rah ke dekhna

    daman-e-izhaar mein jazbe sama sakte hain nahin

    baat phir bhi baat hai ek bar kah ke dekhna

    KHud ko miTTi ka gharaunda farz hi karna nahin

    aandhiyon ki zad mein rahna aur Dhah ke dekhna

    dil ke sannaTe mein KHushbu ke dariche khul gae

    dastakon ke phul darwaze pe mahke dekhna

    kasa-e-fitrat mein phir KHwahish ke sikke baj uThe

    phir parinde sans ki Dali pe chahke dekhna

    be-asar hi kyun na ho par apni zati soch ho

    dosto taKHliq-e-fan ka karb sah ke dekhna

    baadshahat ke maze hain KHaksari mein 'salim'

    ye nazara yar ke kuche mein rah ke dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now