maut ka waqt guzar jaega
maut kā vaqt guzar jā.egā
ye bhī sailāb utar jā.egā
aa gayā hai jo kisī sukh kā ḳhayāl
mujh ko chhūegā to mar jā.egā
kyā ḳhabar thī mirā ḳhāmosh makāñ
apnī āvāz se Dar jā.egā
aa gayā hai jo dukhoñ kā mausam
kuchh na kuchh to kahīñ dhar jā.egā
jhuuT bolegā to kyā hai is meñ
koī va.adā bhī to kar jā.egā
us ke baare meñ bahut sochtā huuñ
mujh se bichhḌā to kidhar jā.egā
chal nikalne se bahut Dartā huuñ
kaun phir lauT ke ghar jā.egā
maut ka waqt guzar jaega
ye bhi sailab utar jaega
aa gaya hai jo kisi sukh ka KHayal
mujh ko chhuega to mar jaega
kya KHabar thi mera KHamosh makan
apni aawaz se Dar jaega
aa gaya hai jo dukhon ka mausam
kuchh na kuchh to kahin dhar jaega
jhuT bolega to kya hai is mein
koi wada bhi to kar jaega
us ke bare mein bahut sochta hun
mujh se bichhDa to kidhar jaega
chal nikalne se bahut Darta hun
kaun phir lauT ke ghar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.