mawad kar ke faraham chamakti saDkon se
mavād kar ke farāham chamaktī saḌkoñ se
sajā rahā huuñ ġhazal ko na.e ḳhayāloñ se
chhupī hai un meñ na jaane kahāñ kī chīḳh-pukār
buland hote haiñ naġhme jo roz mahloñ se
nazar na aa.ī kabhī phir vo gaañv kī gorī
agarche mil ga.e dehāt aa ke shahroñ se
guzār dete haiñ umreñ vo ghup-añdheroñ meñ
laTak rahe haiñ jo bijlī ke ūñche khamboñ se
samundar ab tū unheñ aur be-qarār na kar
guzar ke aa.ī haiñ lahreñ hazār nahroñ se
tulū hogā abhī koī āftāb zarūr
dhuāñ uThā hai sar-e-shām phir charāġhoñ se
'hazīñ' ye sho.ala-e-tābāñ kabhī nahīñ bujhtā
maiñ kyuuñ hayāt ko tashbīh duuñ habāboñ se
mawad kar ke faraham chamakti saDkon se
saja raha hun ghazal ko nae KHayalon se
chhupi hai un mein na jaane kahan ki chiKH-pukar
buland hote hain naghme jo roz mahlon se
nazar na aai kabhi phir wo ganw ki gori
agarche mil gae dehat aa ke shahron se
guzar dete hain umren wo ghup-andheron mein
laTak rahe hain jo bijli ke unche khambon se
samundar ab tu unhen aur be-qarar na kar
guzar ke aai hain lahren hazar nahron se
tulu hoga abhi koi aaftab zarur
dhuan uTha hai sar-e-sham phir charaghon se
'hazin' ye shoala-e-taban kabhi nahin bujhta
main kyun hayat ko tashbih dun hababon se
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 184)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.