mazaq sahna nahin hai hansi nahin karni
mazāq sahnā nahīñ hai hañsī nahīñ karnī
udaas rahne meñ koī kamī nahīñ karnī
ye zindagī jo pukāre to shak sā hotā hai
kahīñ abhī to mujhe ḳhud-kushī nahīñ karnī
gunāh-e-ishq rihā hote hī kareñge phir
gavāh banñā nahīñ muḳhbirī nahīñ karnī
baḌe hī ġhusse meñ ye kah ke us ne vasl kiyā
mujhe to tum se koī baat hī nahīñ karnī
mazaq sahna nahin hai hansi nahin karni
udas rahne mein koi kami nahin karni
ye zindagi jo pukare to shak sa hota hai
kahin abhi to mujhe KHud-kushi nahin karni
gunah-e-ishq riha hote hi karenge phir
gawah banna nahin muKHbiri nahin karni
baDe hi ghusse mein ye kah ke us ne wasl kiya
mujhe to tum se koi baat hi nahin karni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.