mein mahfil-e-hayat mein hairan sa raha
meñ mahfil-e-hayāt meñ hairān sā rahā
har ek kī nigāh meñ anjān sā rahā
kuchh kar sakā na shaam talak rāh-e-shauq meñ
har pal har ek gaam pe be-jān sā rahā
palkeñ uThā ke dekh sakā maiñ na ek baar
merā ḳhirad junūñ kā nigahbān sā rahā
rāh-e-hayāt meñ na milī ek pal ḳhushī
ġham kā ye bojh dosh pe sāmān sā rahā
bū-e-gul-o-saman kī tarah is jahān meñ
'āhan' tamām umr pareshān sā rahā
mein mahfil-e-hayat mein hairan sa raha
har ek ki nigah mein anjaan sa raha
kuchh kar saka na sham talak rah-e-shauq mein
har pal har ek gam pe be-jaan sa raha
palken uTha ke dekh saka main na ek bar
mera KHirad junun ka nigahban sa raha
rah-e-hayat mein na mili ek pal KHushi
gham ka ye bojh dosh pe saman sa raha
bu-e-gul-o-saman ki tarah is jahan mein
'ahan' tamam umr pareshan sa raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.