mera shumar kar le adad ke baghair bhi
merā shumār kar le adad ke baġhair bhī
maiñ jī rahā huuñ terī madad ke baġhair bhī
aate haiñ roz merī ziyārat ko hādse
maiñ dafn ho chukā huuñ lahad ke baġhair bhī
har-chand sher o shauq kī buniyād hai junūñ
chaltā nahīñ hai kaam ḳhirad ke baġhair bhī
āñkhoñ ko terī diid mayassar nahīñ magar
dil jañg kar rahā hai rasad ke baġhair bhī
ik munfarid maqām kī hāmil hai terī zaat
tū dil meñ hai qubūl yā rad ke baġhair bhī
'sardār-ayāġh' vaqt-e-safar jab azaañ huī
ruknā paḌā mujhe kisī had ke baġhair bhī
mera shumar kar le adad ke baghair bhi
main ji raha hun teri madad ke baghair bhi
aate hain roz meri ziyarat ko hadse
main dafn ho chuka hun lahad ke baghair bhi
har-chand sher o shauq ki buniyaad hai junun
chalta nahin hai kaam KHirad ke baghair bhi
aankhon ko teri did mayassar nahin magar
dil jang kar raha hai rasad ke baghair bhi
ek munfarid maqam ki hamil hai teri zat
tu dil mein hai qubul ya rad ke baghair bhi
'sardar-ayagh' waqt-e-safar jab azan hui
rukna paDa mujhe kisi had ke baghair bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.