mere alfaz mein asar rakh de
mere alfāz meñ asar rakh de
sīpiyāñ haiñ to phir guhar rakh de
be-ḳhabar kī kahīñ ḳhabar rakh de
hāsil-e-zahmat-e-safar rakh de
manzileñ bhar de aañkh meñ us kī
us ke pairoñ meñ phir safar rakh de
chand-lamhe koī to sustā le
raah meñ ek do shajar rakh de
gar shajar meñ samar nahīñ mumkin
us meñ saayā hī shāḳh-bhar rakh de
kal ke aḳhbār meñ tū jhūTī hī
ek to achchhī sī ḳhabar rakh de
tū akelā hai band hai kamrā
ab to chehrā utaar kar rakh de
mere alfaz mein asar rakh de
sipiyan hain to phir guhar rakh de
be-KHabar ki kahin KHabar rakh de
hasil-e-zahmat-e-safar rakh de
manzilen bhar de aankh mein us ki
us ke pairon mein phir safar rakh de
chand-lamhe koi to susta le
rah mein ek do shajar rakh de
gar shajar mein samar nahin mumkin
us mein saya hi shaKH-bhar rakh de
kal ke aKHbar mein tu jhuTi hi
ek to achchhi si KHabar rakh de
tu akela hai band hai kamra
ab to chehra utar kar rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.