Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras

Irshad Arshii

mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras

Irshad Arshii

MORE BYIrshad Arshii

    mere hāthoñ meñ nahīñ koī hunar ab ke baras

    jaane kis ism pe khultā hai ye dar ab ke baras

    kuchh to bhugtā ga.e nā-karda gunāhoñ sazā

    zad pe āñdhī ke haiñ kuchh aur shajar ab ke baras

    raqs aaseb jaarī hai mire shahroñ meñ

    kis ko darkār hai kis shaḳhs sar ab ke baras

    jalā.egā ye āvāra o be-dar honā

    dil dukhā.eñge ye mahke hue ghar ab ke baras

    terī ulfat tirī chāhat tirī shafqat ke tufail

    kitnā barsegā mirā dīda-e-tar ab ke baras

    mujh ko chhū mere shab-o-roz ko raushan kar de

    mere āñgan meñ bhī pal bhar ko Thahar ab ke baras

    ne har baar bahut ḳhud ko bigāḌā 'arshī'

    merī gar maan to bhar ke sañvar ab ke baras

    mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras

    jaane kis ism pe khulta hai ye dar ab ke baras

    kuchh to bhugta gae na-karda gunahon ki saza

    zad pe aandhi ke hain kuchh aur shajar ab ke baras

    raqs aaseb ka jari hai mere shahron mein

    kis ko darkar hai kis shaKHs ka sar ab ke baras

    ji jalaega ye aawara o be-dar hona

    dil dukhaenge ye mahke hue ghar ab ke baras

    teri ulfat teri chahat teri shafqat ke tufail

    kitna barsega mera dida-e-tar ab ke baras

    mujh ko chhu mere shab-o-roz ko raushan kar de

    mere aangan mein bhi pal bhar ko Thahar ab ke baras

    tu ne har bar bahut KHud ko bigaDa 'arshi'

    meri gar man to ji bhar ke sanwar ab ke baras

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 311)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now