mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
Interesting Fact
Indian Prime Minister Indira Gandhi declared a state of emergency in 1975. Several human rights were violated during this 21-month state of emergency. Opposition leaders were jailed and the press was banned. Under these circumstances, a ceremony was held on August 15 at the Red Fort in New Delhi. The Prime Minister was present at the ceremony. Kaleem Aajez recited this Sher, 'daaman pe ko.ii chhii.nT na KHanjar pe ko.ii daaG, tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho' The couplet garnered immense praise from the audiences but the organizers were left high and dry.
mere hī lahū par guzar-auqāt karo ho
mujh se hī amīroñ kī tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
vo dost ho dushman ko bhī tum maat karo ho
ham ḳhāk-nashīñ tum suḳhan-ārā-e-sar-e-bām
paas aa ke milo duur se kyā baat karo ho
ham ko jo milā hai vo tumhīñ se to milā hai
ham aur bhulā deñ tumheñ kyā baat karo ho
yuuñ to kabhī muñh pher ke dekho bhī nahīñ ho
jab vaqt paḌe hai to mudārāt karo ho
dāman pe koī chhīñT na ḳhanjar pe koī daaġh
tum qatl karo ho ki karāmāt karo ho
bakne bhī do 'ājiz' ko jo bole hai bake hai
dīvāna hai dīvāne se kyā baat karo ho
mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
mujh se hi amiron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
wo dost ho dushman ko bhi tum mat karo ho
hum KHak-nashin tum suKHan-ara-e-sar-e-baam
pas aa ke milo dur se kya baat karo ho
hum ko jo mila hai wo tumhin se to mila hai
hum aur bhula den tumhein kya baat karo ho
yun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahin ho
jab waqt paDe hai to mudaraat karo ho
daman pe koi chhinT na KHanjar pe koi dagh
tum qatl karo ho ki karamat karo ho
bakne bhi do 'ajiz' ko jo bole hai bake hai
diwana hai diwane se kya baat karo ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.