aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere junun-e-shauq ko itni si kaenat bas

Afeef Siraj

mere junun-e-shauq ko itni si kaenat bas

Afeef Siraj

MORE BYAfeef Siraj

    mere junūn-e-shauq ko itnī kā.enāt bas

    kār-e-darāz ke liye chhoTī ye hayāt bas

    kaisī haiñ āzmā.isheñ kaisā ye imtihān hai

    mere junūñ ke vāste hijr ek raat bas

    vo hai jamāl-e-be-karāñ qaidī-e-rañg hai nazar

    dīda-e-shauq dekh le ā.īna-e-sifāt bas

    saare jahāñ tohmateñ lag chukīñ ham pe shahr meñ

    diije na ab safā.iyāñ kiije na ham se baat bas

    hūr-o-qusūr-o-mai sabhī ahl-e-safā ke vāste

    mujrim-e-ishq ke liye va.ada-e-yak-najāt bas

    mere junun-e-shauq ko itni si kaenat bas

    kar-e-daraaz ke liye chhoTi si ye hayat bas

    kaisi hain aazmaishen kaisa ye imtihan hai

    mere junun ke waste hijr ki ek raat bas

    wo hai jamal-e-be-karan qaidi-e-rang hai nazar

    dida-e-shauq dekh le aaina-e-sifat bas

    sare jahan ki tohmaten lag chukin hum pe shahr mein

    dije na ab safaiyan kije na hum se baat bas

    hur-o-qusur-o-mai sabhi ahl-e-safa ke waste

    mujrim-e-ishq ke liye wada-e-yak-najat bas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now