mere ruKH se sukun Tapakta hai
mere ruḳh se sukūñ Tapaktā hai
guftugū se junūñ Tapaktā hai
mast huuñ maiñ mirī nazar se bhī
bāda-e-lāla-gūñ Tapaktā hai
haañ kabhī ḳhvāb-e-ishq dekhā thā
ab tak āñkhoñ se ḳhuuñ Tapaktā hai
aah 'aḳhtar' merī hañsī se bhī
merā hāl-e-zabūñ Tapaktā hai
mere ruKH se sukun Tapakta hai
guftugu se junun Tapakta hai
mast hun main meri nazar se bhi
baada-e-lala-gun Tapakta hai
han kabhi KHwab-e-ishq dekha tha
ab tak aankhon se KHun Tapakta hai
aah 'aKHtar' meri hansi se bhi
mera haal-e-zabun Tapakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.