meri manind KHud-nigar tanha
merī mānind ḳhud-nigar tanhā
ye surāhī meñ phuul nargis kā
itnī sham.eñ thiiñ terī yādoñ kī
apnā saaya bhī apnā saaya na thā
mere nazdīk terī duurī thī
koī manzil thī koī 'ālam thā
haa.e vo zindagī-fareb āñkheñ
tū ne kyā sochā maiñ ne kyā samjhā
sub.h kī dhuup hai ki rastoñ par
munjamid bijliyoñ kā ik dariyā
ghuñgrūoñ kī jhanak-manak meñ basī
terī āhaT! maiñ kis ḳhayāl meñ thā
phir kahīñ dil ke burj par koī 'aks
fāsloñ kī fasīl se ubhrā
phuul murjhā na jaa.eñ bajroñ meñ
māñjhiyo koī giit sāhil kā
vaqt kī sarhadeñ simaT jātīñ
terī duurī se kuchh ba.iid na thā
'umr jaltī hai baḳht jalvoñ ke
ziist miTtī hai bhaag miTTī kā
raheñ dardoñ kī chaukiyāñ chaukas
phuul lohe kī baaḌ par bhī khilā
jo ḳhud un ke diloñ meñ thā tah-e-sang
vo ḳhazāna kisī kisī ko milā
laakh qadreñ thiiñ zindagānī kī
ye muhīt ik 'ajīb zāviya thā
hai jo ye sar pe gyaan kī gaThrī
khol kar bhī ise kabhī dekhā
roz jhuktā hai kū-e-dil kī taraf
kāḳh-e-sad-bām kā koī ziinā
meri manind KHud-nigar tanha
ye surahi mein phul nargis ka
itni shamen thin teri yaadon ki
apna saya bhi apna saya na tha
mere nazdik teri duri thi
koi manzil thi koi 'alam tha
hae wo zindagi-fareb aankhen
tu ne kya socha main ne kya samjha
subh ki dhup hai ki raston par
munjamid bijliyon ka ek dariya
ghungruon ki jhanak-manak mein basi
teri aahaT! main kis KHayal mein tha
phir kahin dil ke burj par koi 'aks
faslon ki fasil se ubhra
phul murjha na jaen bajron mein
manjhiyo koi git sahil ka
waqt ki sarhaden simaT jatin
teri duri se kuchh baid na tha
'umr jalti hai baKHt jalwon ke
zist miTti hai bhag miTTi ka
rahen dardon ki chaukiyan chaukas
phul lohe ki baD par bhi khila
jo KHud un ke dilon mein tha tah-e-sang
wo KHazana kisi kisi ko mila
lakh qadren thin zindagani ki
ye muhit ek 'ajib zawiya tha
hai jo ye sar pe gyan ki gaThri
khol kar bhi ise kabhi dekha
roz jhukta hai ku-e-dil ki taraf
kaKH-e-sad-baam ka koi zina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.