mila hai taKHt kise kaun taKHt par na raha
milā hai taḳht kise kaun taḳht par na rahā
ye baat aur hai jaarī thā jo safar na rahā
shab-e-siyāh meñ bhī jo thā raushnī kā safīr
kinār-e-bām se vo jhāñktā qamar na rahā
lagī thiiñ jis pe nigāheñ na jaane kis kis kī
marīz par vahī tāvīz kār-gar na rahā
yaqīñ thā jo bhī vo ab gard-e-ishtibāh meñ hai
ye kyā huā ki koī shaḳhs mo'tabar na rahā
baḌe-baḌoñ pe bhī 'mājid' ba-nām-e-arz-e-vatan
jo e'timād thā al-qissa muḳhtasar na rahā
mila hai taKHt kise kaun taKHt par na raha
ye baat aur hai jari tha jo safar na raha
shab-e-siyah mein bhi jo tha raushni ka safir
kinar-e-baam se wo jhankta qamar na raha
lagi thin jis pe nigahen na jaane kis kis ki
mariz par wahi tawiz kar-gar na raha
yaqin tha jo bhi wo ab gard-e-ishtibah mein hai
ye kya hua ki koi shaKHs mo'tabar na raha
baDe-baDon pe bhi 'majid' ba-nam-e-arz-e-watan
jo e'timad tha al-qissa muKHtasar na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.