hum hain majruh majra hai ye
ham haiñ majrūh mājrā hai ye
vo namak chhiḌke hai maza hai ye
aag the ibtidā-e-ishq meñ ham
ab jo haiñ ḳhaak intihā hai ye
buud aadam numūd shabnam hai
ek do dam meñ phir huā hai ye
shukr us kī jafā kā ho na sakā
dil se apne hameñ gila hai ye
shor se apne hashr hai parda
yuuñ nahīñ jāntā ki kyā hai ye
bas huā naaz ho chukā aġhmāz
har ghaḌī ham se kyā adā hai ye
nāsheñ uThtī haiñ aaj yāroñ kī
aan baiTho to ḳhushnumā hai ye
dekh be-dam mujhe lagā kahne
hai to murda sā par balā hai ye
maiñ to chup huuñ vo hoñT chāTe hai
kyā kahūñ rījhne kī jā hai ye
hai re begāngī kabhū un ne
na kahā ye ki āshnā hai ye
teġh par haath dam-ba-dam kab tak
ik lagā chak ki mudda'ā hai ye
'mīr' ko kyuuñ na muġhtanim jaane
agle logoñ meñ ik rahā hai ye
hum hain majruh majra hai ye
wo namak chhiDke hai maza hai ye
aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain KHak intiha hai ye
bud aadam numud shabnam hai
ek do dam mein phir hua hai ye
shukr us ki jafa ka ho na saka
dil se apne hamein gila hai ye
shor se apne hashr hai parda
yun nahin jaanta ki kya hai ye
bas hua naz ho chuka aghmaz
har ghaDi hum se kya ada hai ye
nashen uThti hain aaj yaron ki
aan baiTho to KHushnuma hai ye
dekh be-dam mujhe laga kahne
hai to murda sa par bala hai ye
main to chup hun wo honT chaTe hai
kya kahun rijhne ki ja hai ye
hai re begangi kabhu un ne
na kaha ye ki aashna hai ye
tegh par hath dam-ba-dam kab tak
ek laga chak ki mudda'a hai ye
'mir' ko kyun na mughtanim jaane
agle logon mein ek raha hai ye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0421
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.