mere dimagh pe aaseb ka asar to nahin
mire dimāġh pe aaseb kā asar to nahīñ
gumāñ guzartā hai ye dasht merā ghar to nahīñ
palaTne vaale parindoñ pe bad-havāsī hai
maiñ is zamīñ kā kahīñ āḳhirī shajar to nahīñ
buland hote hue dekh le zamīñ kī taraf
ki tere paañv ke nīche kisī kā sar to nahīñ
kisī ke haq meñ maiñ jhūTī gavāhī kyoñ de duuñ
koī bhī ho mere lafzoñ se mo'tabar to nahīñ
pahāḌ peḌ nadī saath de rahe haiñ mirā
ye terī or mirā āḳhirī safar to nahīñ
‘ajīb shor sā uThtā hai mere siine meñ
mere 'alāva koī aur nauhagar to nahīñ
mere dimagh pe aaseb ka asar to nahin
guman guzarta hai ye dasht mera ghar to nahin
palaTne wale parindon pe bad-hawasi hai
main is zamin ka kahin aaKHiri shajar to nahin
buland hote hue dekh le zamin ki taraf
ki tere panw ke niche kisi ka sar to nahin
kisi ke haq mein main jhuTi gawahi kyon de dun
koi bhi ho mere lafzon se mo'tabar to nahin
pahaD peD nadi sath de rahe hain mera
ye teri or mera aaKHiri safar to nahin
‘ajib shor sa uThta hai mere sine mein
mere 'alawa koi aur nauhagar to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.