meri aankhon ko aankhon ka kinara kaun dega
mirī āñkhoñ ko āñkhoñ kā kināra kaun degā
samundar ko samundar meñ sahārā kaun degā
mire chehre ko chehra kab ināyat kar rahe ho
tumheñ mere sivā chehra tumhārā kaun degā
mire dariyā ne apne hī kināre kaaT Daale
bipharte pāniyoñ ko ab sahārā kaun degā
badan meñ ek sahrā jal rahā hai bujh rahā hai
mire dariyāoñ ko pahlā ishāra kaun degā
mohabbat niilā mausam ban ke aa jā.egī ik din
gulābī titliyoñ ko phir sahārā kaun degā
meri aankhon ko aankhon ka kinara kaun dega
samundar ko samundar mein sahaara kaun dega
mere chehre ko chehra kab inayat kar rahe ho
tumhein mere siwa chehra tumhaara kaun dega
mere dariya ne apne hi kinare kaT Dale
bipharte paniyon ko ab sahaara kaun dega
badan mein ek sahra jal raha hai bujh raha hai
mere dariyaon ko pahla ishaara kaun dega
mohabbat nila mausam ban ke aa jaegi ek din
gulabi titliyon ko phir sahaara kaun dega
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 200)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.