meri bhi man mera aks mat dikha mujhko
mirī bhī maan mirā aks mat dikhā mujh ko
maiñ ro paḌūñgā mire sāmne na lā mujh ko
maiñ band kamre kī majbūriyoñ meñ leTā rahā
pukārtī phirī bāzār meñ havā mujh ko
tū sāmne hai to āvāz kaun suntā hai
jo ho sake to kahīñ duur se bulā mujh ko
tū aks ban ke mire ā.īne meñ baiThā rahā
tamām umar koī dekhtā huā mujh ko
varaq varaq yuuñ hī phirtā rahūñ kahāñ tak maiñ
kitāb jaan ke bōk-shelf par sajā mujh ko
ḳhudā to ab bhī hai vo 'ashk' kyā bigaḌ jaatā
agar vo aur tarīqe se sochtā mujh ko
meri bhi man mera aks mat dikha mujh ko
main ro paDunga mere samne na la mujh ko
main band kamre ki majburiyon mein leTa raha
pukarti phiri bazar mein hawa mujh ko
tu samne hai to aawaz kaun sunta hai
jo ho sake to kahin dur se bula mujh ko
tu aks ban ke mere aaine mein baiTha raha
tamam umar koi dekhta hua mujh ko
waraq waraq yun hi phirta rahun kahan tak main
kitab jaan ke book-shelf par saja mujh ko
KHuda to ab bhi hai wo 'ashk' kya bigaD jata
agar wo aur tariqe se sochta mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.