mohabbat sirf ek jazba nahin hai
mohabbat sirf ik jazba nahīñ hai
nazar aatā hai jo vaisā nahīñ hai
sabhī ta.abīr us kī likh rahe haiñ
kisī ne bhī use dekhā nahīñ hai
kisī khaa.ī meñ vo bhī jā girā hai
jo terī raah se guzrā nahīñ hai
na kar siine ke ātish-dān ThanDe
bujhā dil phir kabhī jaltā nahīñ hai
chalo bāhar se ho kar lauT aa.eñ
ka.ī din se koī aayā nahīñ hai
nazar mahtāb se Takrā ga.ī hai
to kyā aage koī rasta nahīñ hai
ḳhalā kā mas.ala hī muḳhtalif hai
samundar is qadar gahrā nahīñ hai
qayāmat aa rahī hai jā rahī hai
magar ye āsmāñ TuuTā nahīñ hai
mohabbat sirf ek jazba nahin hai
nazar aata hai jo waisa nahin hai
sabhi tabir us ki likh rahe hain
kisi ne bhi use dekha nahin hai
kisi khai mein wo bhi ja gira hai
jo teri rah se guzra nahin hai
na kar sine ke aatish-dan ThanDe
bujha dil phir kabhi jalta nahin hai
chalo bahar se ho kar lauT aaen
kai din se koi aaya nahin hai
nazar mahtab se Takra gai hai
to kya aage koi rasta nahin hai
KHala ka masala hi muKHtalif hai
samundar is qadar gahra nahin hai
qayamat aa rahi hai ja rahi hai
magar ye aasman TuTa nahin hai
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 183)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.