mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
mohabbat soz bhī hai saaz bhī hai
ḳhamoshī bhī hai ye āvāz bhī hai
nasheman ke liye betāb taa.ir
vahāñ pābandī-e-parvāz bhī hai
ḳhamoshī par bharosā karne vaale
ḳhamoshī dard kī ġhammāz bhī hai
hai me.arāj-e-ḳhirad bhī arsh-e-a.azam
junūñ kā farsh pā-andāz bhī hai
dil-e-begāna ḳhud duniyā meñ terā
koī hamdam koī hamrāz bhī hai
kabhī muhtāj lai kā bhī nahīñ ye
kabhī naġhma rahīn-e-sāz bhī hai
kabhī to dil hai mahv-e-be-niyāzī
kabhī tauf-e-harīm-e-nāz bhī hai
tarāna-hā-e-sāz-e-zindagī meñ
ik āvāz-e-shikast-e-sāz bhī hai
mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
KHamoshi bhi hai ye aawaz bhi hai
nasheman ke liye betab tair
wahan pabandi-e-parwaz bhi hai
KHamoshi par bharosa karne wale
KHamoshi dard ki ghammaz bhi hai
hai mearaj-e-KHirad bhi arsh-e-azam
junun ka farsh pa-andaz bhi hai
dil-e-begana KHud duniya mein tera
koi hamdam koi hamraaz bhi hai
kabhi muhtaj lai ka bhi nahin ye
kabhi naghma rahin-e-saz bhi hai
kabhi to dil hai mahw-e-be-niyazi
kabhi tauf-e-harim-e-naz bhi hai
tarana-ha-e-saz-e-zindagi mein
ek aawaz-e-shikast-e-saz bhi hai
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 255)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.