muddat se koi unki tahrir nahin milti
muddat se koī un kī tahrīr nahīñ miltī
kuchh dil ke bahalne kī tadbīr nahīñ miltī
har ik ko nahīñ hotā irfān mohabbat kā
har ik ko mohabbat kī jāgīr nahīñ miltī
bachchoñ ko to is tarah jalte nahīñ dekhā thā
tārīḳh meñ kuchh aisī tahrīr nahīñ miltī
panjāb ko dekho to ik aag kā dariyā hai
kashmīr meñ jannat kī tasvīr nahīñ miltī
is desh ke logoñ ne chālīs baras pahle
ik ḳhvāb to dekhā thā tā'bīr nahīñ miltī
muddat se koi un ki tahrir nahin milti
kuchh dil ke bahalne ki tadbir nahin milti
har ek ko nahin hota irfan mohabbat ka
har ek ko mohabbat ki jagir nahin milti
bachchon ko to is tarah jalte nahin dekha tha
tariKH mein kuchh aisi tahrir nahin milti
panjab ko dekho to ek aag ka dariya hai
kashmir mein jannat ki taswir nahin milti
is desh ke logon ne chaalis baras pahle
ek KHwab to dekha tha ta'bir nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.