Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddat se ye aalam hai dil ka hansta bhi nahin rota bhi nahin

Fahmida Riaz

muddat se ye aalam hai dil ka hansta bhi nahin rota bhi nahin

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    muddat se ye aalam hai dil hañstā bhī nahīñ rotā bhī nahīñ

    maazī bhī kabhī dil meñ na chubhā ā.inda sochā bhī nahīñ

    vo mere hoñT pe likkhā hai jo harf mukammal ho na sakā

    vo merī aañkh meñ bastā hai jo ḳhvāb kabhī dekhā bhī nahīñ

    chalte chalte kuchh tham jaanā phir bojhal qadmoñ se chalnā

    ye kaisī kasak baaqī hai jab paañv meñ vo kāñTā bhī nahīñ

    dhuñdlā.ī huī shāmoñ meñ koī parchhā.īñ phirtī rahtī hai

    maiñ aahaT suntī huuñ jis vo vahm nahīñ saaya bhī nahīñ

    taz.īn-e-lab-o-gesū kaisī pindār shīsha TuuT gayā

    thī jis ke liye sab ārā.ish us ne to hameñ dekhā bhī nahīñ

    muddat se ye aalam hai dil ka hansta bhi nahin rota bhi nahin

    mazi bhi kabhi dil mein na chubha aainda ka socha bhi nahin

    wo mere honT pe likkha hai jo harf mukammal ho na saka

    wo meri aankh mein basta hai jo KHwab kabhi dekha bhi nahin

    chalte chalte kuchh tham jaana phir bojhal qadmon se chalna

    ye kaisi kasak si baqi hai jab panw mein wo kanTa bhi nahin

    dhundlai hui shamon mein koi parchhain si phirti rahti hai

    main aahaT sunti hun jis ki wo wahm nahin saya bhi nahin

    tazin-e-lab-o-gesu kaisi pindar ka shisha TuT gaya

    thi jis ke liye sab aaraish us ne to hamein dekha bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now